Note 01
“Kal kal karte karte passport expire ho jayega.”
Perfect month, perfect budget aur perfect gang ka wait karoge toh passport pe stamp se pehle expiry stamp aa jayega.
Flytinerary travel notes
Not inspirational wallpaper. Just a few reminders that the trip you keep talking about eventually needs a date.
Note 01
“Kal kal karte karte passport expire ho jayega.”
Perfect month, perfect budget aur perfect gang ka wait karoge toh passport pe stamp se pehle expiry stamp aa jayega.
Note 02
“Paise fir aa jayenge. Ye wali chhutti nahi.”
Salary agle mahine bhi aa sakti hai. Ye long weekend calendar mein dobara exactly waise nahi aayega.
Note 03
“Group chat mein sab Goa jaate hain.”
Chat mein dates final hoti hain, resort share hota hai, reels aati hain. Airport pe phir wahi do log milte hain.
Note 04
““Dekhte hain” bolne walon ne duniya bahut kam dekhi hai.”
Trip planning ka sabse dangerous button cancel nahi hota. “Dekhte hain” hota hai.
Note 05
“Trip ka sabse bada kharcha? Sabka haan bolne ka wait.”
Flight mehengi ho jaati hai, hotel bhar jaata hai aur group abhi bhi “mere office mein poochta hu” pe hota hai.
Note 06
“Budget baad mein banta hai. Bahane pehle.”
₹500 coffee ke time budget yaad nahi aata. Weekend trip ke time Excel sheet khul jaati hai.
Note 07
“Reel save karne se boarding pass nahi milta.”
Saved folder mein Bali, Japan, Norway aur 47 cafes hain. Calendar mein abhi bhi kuch nahi hai.
Note 08
“Office tumhare bina chal jayega. Tum kab chaloge?”
Teams call kal bhi hogi. Jira ticket bhi rahega. Ye weather aur ye weekend wait nahi karenge.
Note 09
“Salary aayi. EMI gayi. Trip phir reh gayi.”
Responsible rehna zaroori hai. Har baar apne plan ko “next month” bhejna zaroori nahi.
Note 10
“Chhutti approve hai. Ab mummy ko manana baaki hai.”
Manager ne yes bol diya. Calendar free hai. Ab asli stakeholder meeting ghar pe hogi.
Note 11
“Sab free honge tab toh retirement trip hogi.”
Kisi ka wedding hai, kisi ka quarter end, kisi ka budget tight. Perfect group availability ek myth hai.
Note 12
“Monday toh waise bhi aayega. Phuket se aane do.”
Sunday night anxiety Ahmedabad se ho ya Phuket se, Monday phir bhi Monday hi rahega.
Note 13
“Ek din jayenge bolte bolte 3 saal nikal gaye.”
Destination wahi hai. Tumhare saved posts bhi wahi hain. Bas calendar teen baar badal chuka hai.
Note 14
“Pehle dates pakdo. Dost baad mein pakad lena.”
Trip ki date fixed ho jaaye toh surprisingly log manage kar lete hain. “Kabhi chalenge” ka koi calendar invite nahi hota.
Note 15
“Passport drawer mein decoration ke liye nahi hota.”
Cover acha hai. Stamp aur acha lagega.
Note 16
“Tum budget bana rahe ho, koi aur Bali pahunch gaya.”
Planning zaroor karo. Bas itni nahi ki destination tumse pehle dusre logon ki story mein aa jaye.
Note 17
“Leave balance dekh ke khushi nahi milti. Ticket dekh ke milti hai.”
18 leaves available ek number hai. “Gate closes in 35 minutes” ek feeling hai.
Note 18
“Zindagi chhoti hai. Tumhari planning meeting bahut lambi.”
45 minute ka call sirf ye decide karne ke liye ki next call kab rakhna hai. Wah.
Note 19
“Trip cancel karne ke reasons unlimited hain. Chale jaane ke liye ek hi kaafi hai.”
Weather, workload, wallet, wedding. Reason list kabhi khatam nahi hogi.
Note 20
““Agle mahine sasta hoga…” ye sentence har mahine bola jaata hai.”
₹2,000 bachate bachate kabhi kabhi poori trip hi chali jaati hai.
Note 21
“Nasha chhodo, dekho jungle kitna beautiful hai!”
Kabhi signal lose karna bhi healthy hota hai. Jungle, pahad aur ek aisi jagah jahan notification se zyada birds sunai dein.